palke bheng baithi hai apno se ye kuch ruth baithi hai koi jariya hai jo milta nahi aamkho me samundar hai kisi aur ko ye dikta nahi apne hai jo parayo ke hisse me baithe hai dil hai jo kahi bandhta nahi karwate lete hai mujhme hi kahi kahi baatein mere mere hai apne main bhi ye samjhata nahi vajah chahe jo ho khuda ki manzoori chahe jo ho mere hisse me ho tum to mere bante kyu nahi dil hai to sambhalte kyu nahi mukammal hai khud me baatein meri bhari manjar se gujari hai jo baatein meri ahesaas ke sataye hai ye lafz mere kinare se hi sahi jannat dikhaye hai mujhe main marta kya naa karta apno se haar un begaone se kyu na hota badal jate shayd har vasool mere zindagi se hoti muhabbat to sambhal jate shayad kadam mere main hota khud ka hote kisse mere khud ke dil samundar to aankhe dariya hota main apne irado sa hota dil hota magar faisle mere hote main sikandar hota meri baatein mera husla zindagi badal ke rah jati saare gam kinare ho jate palke ab bhengi bhi naa hoti khamosh hoti magar muskurati hoti
No comments:
Post a Comment